Friday, 2 February 2018

HAZRAT FATEMA ZAHRA (S. A.)


✩JANABE ZAHRA (S.A) KE NAAM
1. Imam Sadiq (as):
J. Fatema (sa) ka naam Zahra is liye hai ke jab wo moazzama Mehraab e Ibadat mein khadi hoti thi to aap ka noor aasmaan waalo'n ke liye is tarah chamakta jis tarah zameen waalo'n ke liye Chaand chamakta hai.
(Elal ush Sharaaye, p137)

2. Imam Sadiq (as):
H. Fatema Zahra (sa) ka ek naam Muhaddisa hai aur Muhaddisa oos khaatun ko kaha jaata hai jis se Malaaika guftagu karte ho'n.
(Tafseer Noor us Saqlain, v2, p75)

3. Rasule Khuda (saww):
Main ne apni dukhtar ka naam Fatema (sa) rakkha kyun ki Allah ne unhe aur unke mohibbo'n ko Dozakh se azaad kiya huwa hai.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p112)

4. Imam Sadiq (as):
Bibi Fatema (sa) ke liye Allah ke yahaa'n 9 naam hai: 1) Fatema (sa), 2) Siddiqa (sa), 3) Mubaraka (sa), 4) Tahira (sa), 5) Zakiya (sa), 6) Raziya (sa), 7) Marziya (sa), 8) Muhaddisa (sa) aur 9) Zahra (sa).
(Amaali - Shaikh Sadooq, p552)

✩FAZILAT JANABE ZAHRA (S.A)
1. Rasule Khuda (sawa): 
JANABE FATEMA ZAHRA (S.A.) JANNAT KI TAMMAM AURTO KI SARDAR HAI.
(Sahih. Bukhari vol.5 pg 82)

2. Imam Baqir (a.s):
(JANABE ZAHRA) ( S.A.) Hum ne tumhe Ilm ke zariye har naadaanee aur paleedgee se judha qarar diya hai
(Behar 43/13)

3. Rasule Khuda (sawa):
Ay FATEMA (S.A.) jo shakhs tumhe ya tumhare farzando ko dost rakhee ga usse ALLAH jahanum ki aag se najaat dega.
(Behar 8/50)

4. Rasule khuda (sawa): 
JANABE FATEMA (S.A.) insaani shakhl me ek hur hai, mai jab bhi jannat ka mushtaaq hota hu toh FATEMA ( S.A.) ko sungh leta hu.
(Behar 43/5)

5. Imam Ali (as): 
Mai woh hu jisse PAIGAMBHER (S.A.W.A.) ne muntakhab farmaya aur apni beti ka mujh se aqd kiya.
(Al Ehtejaaj 1/171)

6. Imam Ali (a.s): 
Mai Batool ka shauhar hu jo alameyaan ki aurto ki sardaar hai.jis se Habibe Khuda mohabbat karte the..
(Behar 35/45)

7. Rasule Khuda (sawa): 
JANABE MARYAM (A.S.) apne zamane ki aurto ki sardar thee lekin JANABE FATEMA (S.A.) shuru se Akhir tak ke Alamiyaan ki aurto ki sardar hai.
(Behar 43/26)

8. Imam Ali Reza (as):
HAZRAT FATEMA (S.A.) sach bolne wali aur rah e khuda me shaheeda hai.
(Behar 43/197)

9. Allah (swt):
KHUDA ne wahy farmaee Ay FATEMA (S.A.) Apni Izzat wa Jalal ki qasm...mai ne zameen wa aasmaan ko paida karne se 2 saal phele khud se ahd kiya tha ke tumhare aur tumhare farzando ke shia per azaab nahi karooga.
(Behar 27/139)

10. Imam Sadiq (as):
HAZRAT FATEMA (S.A.) duniyawee aurto me roashan sitara hai.
(Usul e Kafi 1/195)

11. Rasule Khuda (sawa):
Mai paak darakht hu aur JANABE FATEMA (S.A.) us ki jadh(root) hai.
(Ehqaqul Haq 9/152)

12. Rasule Khuda (sawa): 
HAZRAT FATEMA (S.A.) se farmaya KHUDA ki taraf se aap ki hidayat ki gaee hai aur aap per Ilhaam hota hai.
(Behar 22/492)

13. Imam Ali (as): 
Jab bhi mai JANABE FATEMA (S.A.) ki taraf dhekhta meri tamam ranj wa gham dur ho jaate the
(Behar 43/134)

14. Imam Baqir (as): 
RASUL-E-KHUDA (S.A.W.A.) JANABE FATEMA (S.A.) ke ghar jaate aur salaam karte, ghar se Quran ki tilawat ki awaaz aatee aur chakki khud ba khud chal rahee hoti thee.
(Behar 43/45)

15. Rasule Khuda (sawa):
Sab se zyada JANABE FATEMA ZEHRA (S.A.) ke Ghar rozana subh ko Masjid jaane see phehle JANABE ZEHRA (S.A.)ka deedaar karte the.
(Kashful Ghumma 2/13)

16. Rasule Khuda (sawa):
Jis waqt JANABE FATEMA (S.A.) khuda ki ibadat ke liye mehraab me khadee hotee thee toh unka noor asmaan walo ke liye is tarah chamaktha tha jis tarah ahle zameen ke liye sitare. 
(Behar 43/173)

17. Rasule Khuda (sawa): 
Meri beti JANABE FATEMA (S.A.) ki halaat yeh hai ke khuda ne us ke qalb aur jism ko imaan wa yaqeen se pura kar diya. 
(Behar 43/29)

18. Rasule Khuda (sawa):
Mai gawahee deta hu ke tum (JANABE FATEMA (S.A.) ) mere badan ka hissa ho.
(Behar 43/91)

19. Imam Sadiq (as):
Apne dil ko dekho Agar Tumhare dil me hamari  MAA FATEMA ZAHARA (sa)    ki Mohabbat hai to jaan  lo  ke khuda wande Aalam ka  Lutf aur karam aur meherbaani tumhare Sath    hai Aur Agar tumhare dil  me MAA FATEMA ZAHARA (sa) ki Mohabbat Nahi hai  to tum Khuda ki Bargah se  Nikal diye gaye ho. 
(Biharul Anwaar, V.41)

20. Imam Sadiq (as):
H. Fatima Zahra (sa) ki azmat ke sabab Allah Ta'ala ne unki zurriyat par aatish e Dozakh ko haraam kar diya hai.
(Irshadaat e Masumeen (as), p113)

21. Imam Hasan (as):
J. Fatima (sa) naam le le kar Momin o momenaat ke liye Dua farmaati aur unke liye bahut bahut Dua karti magar apne liye koi Dua na karti. Jab iska sabab J. Fatima (sa) se puchha gaya to aap ne farmaya, "Pehle padosi, phir ghar".
(Elal ush Sharaaye, p137)

22. Rasule Khuda (saws): 
JANABE FATEMA  (S.A.) meri rooh hai mai us se behesth ki khusboo sughtha hu.
(kashful Ghumma 2/24)

23. Rasule Khuda (saws): 
JANABE FATEMA (S.A.) tamam jannati aurto ki sardaar hai.
(Aamali e Mufeed  pg 13)

24. Rasule Khuda (saws): 
JANABE FATEMA (S.A.) Ahle zameen ki tamam aurto se balandtareen hai.
(Behar 43/20)

25.  Ek Aurat ne Imam Sadiq (as) se arz kiya: Mai duniya se alag hu.

Imam: Is se tumhari kya murad hai?

Aurat: Mai shadi nahi karugi

Imam: Kyu?

Aurat: Mai ba fazilat banna chahti hu

Imam: Isse baaz aa jao. Agar shadi na karne me fazilat hoti to janabe Fatema Zahra (sa) shadi na karte. Jabki fazilate Fatema Zahra (sa) se badh kar koi ba fazilat nahi hai.
(Al-Kaafi, vol 5, 509, 
Mafateehul Hayaat (Urdu Edition), Page 247)

26. Rasule Khuda (saww):
Main Jannat mein daakhil huwa, uske darwaze par 6 kalemaat sone ke paani se likhe huwe the: La Ilaha Illallah, Muhammadun Habibullah, Aliyun Waliullah, Fatima Amatullah, Al Hasan Wal Husain Safwatullah, UNSE NAFRAT KARNE WAALO'N PAR LA'NATULLAH.
(Khisaal, ch6)

✩SALWAAT JANABE ZAHRA (S.A)
1. Hazrat Fatema Zahra (s.a):
Mujhse Rasool-e-Khuda (sawa) Ne Irshad farmaya ke Aye Fatema (sa) Jo shakhs Tum par Salwat bheje, Allah Tala Uski magfarat farmayaga aur Jannat me jis jagah bhi main honga osse mere saat mulhaq karega. 
(Rooh-e-Hasti Page 48)

2. Hazrat Fatima Zahra (sa):
Jo shakhs RASOOL-E-KHUDA (S.A.W.A.) aur MUJH per 3 din salawat bheje ga ALLAH us per jannat wajib kar dega.
(Manaaqeb e Ibne Maghaazali pg 463)

★Salwaat:
●Allahumma Salle al Fatema wa abeeha wa baleha wa baneeha wa sirril mustaudaeh fiha beadada maa ahaata behi ilmu

●Oh Allah send blessings on Fatema and her father, her husband and her sons, and by the secret installed in her (S)) which only is in YOUR knowledge

✩FADAK
1. Riwayat:
(Gair-Shia kitaab Kanz ul Ummal ke hawaale se naql hai ke) Jab Surah Room ki Ayat No. 38 (Fa Aati Zal Qurba Haqqahu) naazil huwi to Paighambar (saww) ne J. Fatema (sa) ko talab kiya aur farmaya, 'Aye Fatema (sa), Fadak teri milkiyyat hai".
(Tafseer e Namuna, v13, p477)

2. Riwayat:
Jis waqt ye Ayat (Surah Room ki Ayat No.38 "Fa Aati Zal Qurba Haqqahu') naazil huwi Rasulallah (saww) ne Fadak J. Fatema (sa) ko baksh diya.
(Tafseer e Namuna, v9, p363)

3. Riwayat:
(Gair-Shia Tafseer Durr e Mansoor mein) Ibne Abbas se riwayat hai ke jab Surah Room ki Ayat No. 38 (Fa Aati Zal Qurba Haqqahu) naazil huwi to Paighambar (saww) ne J. Fatema (sa) ko Fadak inaayat farmaya.
(Tafseer e Namuna, v13, p477)

4. Imam Ali (as):
(Surah Hashr, Ayat No. 6 ke mutalliq farmaya ke) Ye (Maal e Fai) khaas hamare liye hain kyun ki Khuda ne Sadqa hum par haraam qaraar diya hai ke wo logo'n ke haath ki mayl hai.
(Tafseer Anwaar e Najaf, v13, p251)

5. Imam Ali (as):
…Haa'n, hamare haatho'n mein is aasman ke neeche sirf ek Fadak tha, magar uspar bhi ek qaum ne apni laalach ka muzahira kiya…
(Nahjul Balagah, Letter No.45)

6. Abdullah bin Umar:
Jab tak Khaibar fatah nahi huwa tha hum tangi mein the. (Fatah e Khaibar / Fadak ke baad Musalmano'n ko kushaadgi naseeb huwi)
(Sahih Bukhari, v5, ch 59, h4243)

7. Riwayat:
Fadak ki maaliyaat (worth / mulya) sab se zyada thi. Khilafat e Umar bin Abdul Aziz ke zamane mein (yaani Rasule Khuda (saww) ki wafaat ke takriban 90 saal baad) Fadak ki salaana aamdani (annual income) 40000 dinaar thi. (Sunan Abu Dawood, v2, ch19)
(Saheeyain Ka Ek Mutaalea, p563)

8. Ayesha:
Jab Khaibar fatah huwa to hum ne kaha ke ab Khajooro'n se hamara jee bhar jayega. (Khajooro'n ki paida-waar ke liye Khaibar / Fadak mash'hoor tha)
(Sahih Bukhari, v5, ch 59, h4242)

9. Ayesha:
J. Fatema (sa) binte Rasul (saww) ne Abu Bakr ke paas kisi ko bheja aur apni miraas ka mutaleba kiya Rasul (saww) ke oos maal se jo aap ko Allah Ta'ala Madina aur Fadak mein inayat farmaya tha aur Khaibar ka jo paanchwa hissa reh gaya tha…

Abu Bakr ne ye jawaab diya ke Rasul (saww) ne khud hi irshaad farmaya tha ke 'Hum Paighambaro'n ka koi waaris nahi hota'…

Abu Bakr ne Fatema (sa) ko kuchh bhi dena manzoor na kiya. 

Is par Fatema (sa) Abu Bakr se khafa / na-raaz ho gayi'n aur unse milna tark kar liya aur uske baad wafaat tak unse koi guftagu nahi ki…
(Sahih Bukhari, Vol-5, ch-59, 
Hadees-4240)

10. Commentary:
Ibn Abil Hadid Mo'tazaly (Gair-Shia Aalim) ne apni kitaab 'Sharh Nahjul Balagah' mein ye waqiya naql kiya hai ke unhone apne ustaad se puchha, "Kya Fatima (sa) Fadak ki milkiyyat ke daawe mein sachchi thi?" 

Ustaad ne kaha, "Haa'n".

Sawaal huwa, "Jo wo  sachchi thi to Haakim ne unhe Fadak kyun nahi diya?" 

Ustaad muskuraye aur khubsoorat, lateef aur mazak ke lehje mein kaha - haala'nki unhe mazaaq ki aadat nahi thi - "Agar oos waqt Haakim J. Fatema (sa) ka daawa sunkar unhe Fadak de deta to doosre din wo aa kar apne Shauhar ke liye Khilafat ka daawa pesh karti! Wo Haakim ko unke ohde (position) se alag kar deti aur Haakim ke paas khud ke difaa (bachaav) ke liye koi jawaaz (daleel / justification) na hota, kyun ki Fadak dekar wo ye qubool kar leta ke jo kuchh Fatema (sa) daawa kar rahi hai wo sach aur haqeeqat hai aur unhe kisi suboot ya gawaah ki zarurat nahi". 

Ibn Abil Hadid likhte hain ke jo kuchh mere ustaad ne kaha wo sach hai agar-che unhone usay mazaaq ke lehje mein kaha hai.
(Hazrat Zahra (s.a.) And the Heart, Rending Episode of Fadak)

11. Janab-e-Fatema (sa):
…Tum gumaan karte ho ke Rasule Akram (saww) ki hamare liye koi miraas (inheritance) nahi, kya tum ne ayyam e jahiliyyat ki pairavi nahi ki? 

Aye Abu Quhafa ke bete! Kya ye Quran e Majeed mein hai ke tum apne baap ki miraas paao lekin tumhare aqeede ke mutabiq main apne baap ki miraas na haasil karu'n?

Kya tum apni taraf se ek jhoota aur naya hukm laaye ho?

Kya tum ne jaan-bujh kar Kitaab e Khuda ko tark kar diya hai aur ahkaam e aasmani ko pus e pusht daal diya hai?...

(Phir Janab-e-Fatima (sa) ne Quran se sabuut diye ke kaise Paighambar Suleman (as) Dawood (as) ke waaris huwe aur J. Zakaria (as) ki bhi misaal di aur Quran mein ek beti ka miraas mein kya haq hai wo bhi bataya aur saabit kiya ke Quran ki raushni mein unko unke waalid Rasule Khuda (saww) ki miraas milni chahiye)
(Ehtejaaj e Tarbrisi, v1, p183)

12. Imam Sadiq (as) se kisi ne sawaal liya Maula

Imam Ali (as) ne apni daure khilafat me Fidak wapas kyun nahi liya?

Imam ne fauran palat kar sayel se dusra sawaal kiya 

"Yeh batao Rasool-e-Khuda ki zaati milkiyat woh ghar jiske andar woh Makke me rahte the unke walid se unko wirasat me mila tha. Jab woh hijrat kar ke Madine Chale gaye toh Abu Lahab  (la) ne usko bech diya. Jab Rasool-e-Khuda  (saw) ne Makka fatah kiya toh us ghar par kabza kyun nahi kiya?"

Saayel ne farmaya Yabna Rasool Allah mujhe nahi pata

Imam ne farmaya ke ham Ahlebait  (as) ka Yeh tariqa-e-kaar raha hai ke jo cheez hamse zulman cheeni jaati hai woh ham wapas nahi lete taaki Zalim ke azaab me izafa hota rahe
(Manakib ibn shahre ashob)
(Excerpts from the Majlis of Khateeb-e-Akbar Marhoom Maulana Mirza Mohammad Athar Sahab 
Topic - Fidak ki Tareekh)

13. Imam Baqir (as):
'Zalamu' (Surah Nisa, Ayat 168) se muraad wo log hai jinhone Aal e Muhammad (as) ke huqooq ko gasb kiya. Aise logo'n ki maghferat na hogi.
(Irshadaat e Masumeen (as), p69)

14. Imam Sadiq (as)
se Abu Baseer ne puchha ke jab Ameerul Momeneen (as) Khalifa huwe to unhone Fadak kyun nahi liya, usay kyun chhor diya? 

Imam (as) ne farmaya, "Is liye ke zaalim aur mazloom dono jab Allah ki bargaah mein pahu'nchenge to Allah Ta'ala mazloom ko Sawaab dega aur zaalim par Etaab (azaab) karega to aap ne isko pasand Na kiya ke jis par mazloom ko Sawaab hai aur zaalim ko Etaab, usko waapas le lein".
(Elal ush Sharaaye, p116)

✩Janabe Fatema Zahera(sa) ke khutbe
Janabe Fatema Zahera(sa) ne apne khutbe ke ek hisse mai farmaya ::

Jo kuch tum anjam de rahe ho vo khuda ki nazar mai hai aur zalim log ankarib jaan jaenge ke voh kaha loatae jaenge...[1]

Mai ush (Rasool saww) ki beti hoon, Jo tumhe dardnaak aur sakht azab se darata tha pas tum log jo chaho karo Hum bhi jo samjh me aayega karenge aur intezar karo aur hum bhi intezar karenge...[2]

Janab-e-Zahra (s.a):
Kuch Aurt'on se Farmaya, Majburi ki surat me Apne Do Deeni Baap Hazrat Mohammad Mustafa (saws) aur Hazrat Ali (a.s) ki razamandi hasil karo, Apne Maa Baap ko naraaz karo aur inki naraazgi se NA daro, Lekin Apne waldain ki razamandi hasil karne keliye, Apne Dono Deni Baap ko Naraaz NA karo..[3]

(References:
[1]Holy Quran, Surah-e-Shura, 
Aayat-227
[2]Ehtejaj-e-Tabrasi, Vol-1,Page-141
[3]Tafseer Mansube Imam Askari (a.s), Page 334)

✩JANABE ZAHRA (S.A) PER ZULM
1. Rasule Khuda (sawa):
Khudaaya !! Jin Logo'n ne J.Zahra{s} par zulm kiya hai unhein apni Rehmat se door farma aur jin Logo'n ne Uska Haq gasb kiya hai unse poora badla le. Jin Logo'n ne Usey pareshaan kiya hai unhein zaleel-o-khwaar farma aur Jinhone Uske Pehloo ko zakhmi kiya hai aur Jinhone Uska hamal saaqit kiya hai unhein hamesha ke liye dozakh me daakhil farma. {Is waqt Farishtey meri Dua ki qubooliyat ke liye aameen kahenge}.
(Baitul Ahzan, Pg.63.)

2. Rasule Khuda (saww):
Fatema (sa) mera tukda hai, jisne usko khush kiya usne mujhe khush kiya aur jisne usko na-raahat kiye usne mujhe na-raahat kiya. Mujhe Fatema (sa) saari ummat se zyada aziz hai.
(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p74)

3. Imam Sadiq (a.s): 
Mere Nana, Rasool e Khuda (sawa) kehte hai ke Laanat hai unlogo par jolog meri beti Fatema Al Zahra s.a pe zulm kare,
Laanat hai uspar jo meri beti ka haq (baugh e fidak) cheenle aur 
Laanat hai uspar jo meri beti ko shaheed (qatl) Kare. 
(Rawdat al jannat,6:182)

4. Imam Sadiq (as):
Allah Ta'ala gazab-naak hota hai J. Fatema (sa) ke gazab-naak hone se aur unke raazi hone se Allah raazi hota hai.
(Amaali - Shaikh Mufeed, P161)

5. Imam Sadiq (as):
Bahut zyada girya karne waale 5 hain: H. Adam (as), H. Yaqoob (as), H. Yusuf (as), J. Fatema binte Muhammad (sa) aur H. Ali ibne Husain (Imam Sajjad) (as)…
(Amaali - Shaikh Sadooq, Majlis 29, p139)

6. Janabe Sayyida (s.a) ko jo jismani aur rohaani sadmey pochey unn me se ek Janabe Mohsin(a.s) ki shadat bhi hai."
(Biharul Anwaar, vol 79, page 106;  Al Motabar, vol 1, page 345 - by Mohaqaq e Hilli)

7. ZIYARAT-E-JANABE FATEMA (S.A.)
."Salaam ho aap per ah mazlooma ke aap ne zulm wa sitam ke muqabaleh me sabr wa tahamul kiya."
(Behar 100/198)

8. ZIYARAT-E-JANABE FATEMA (S.A.): 
Khuda un logo per laanat kare jinhone aap ke haq ko zaayaa kiya aur aap ko PAIGAMBER -E-ISLAM (S.A.W.A.) ki meeras se mahroom kiya. 
(Behar 100/198)

9. Ek Martaba Imam Sadiq (a.s) Ne Bibi Fatima Zehra (s.a) ki Musibat ka zikr kiya Aur itna Roye ke Aapke Resh e Mubarak Aansuo se tar Hogayi

Phir imam (a.s) Ne Farmaya:

Us aankh ko thandak Naseeb naa ho jo is zikre Musibat par Naa Roye

(Baitul huzn pg 177)

10. Janab-e-Fatema Zahra (sa): 

Tum dono (abu bakr/umar) ko Khuda ki kasam deti hoon aya tum dono ne Nabi-e-Akram (saws) se suna hai ke Woh Farmate the, Fatema (sa) Mera ek Tukda hai aur Main ush se hoon, Jo shakhs Fatema (sa) ko aziyat de haqiqatan usne Mujhe aziyat di aur jo Mujhe aziyat de usne haqiqatan Allah ko aziyat di aur jo shakhs Meri wafaat ke baad Fatema (sa) ko aziyat de woh ush shakhs ke manind hai jisne usko Meri hayat me aziyat di hai aur jo shkahs Meri hayat me Usko aziyat de woh ush shakhs ke manind hai jo Meri wafaat ke baad Usko aziyat de.? 

Un dona (abu bakr/ umar) ne kaha khudaya hain. Yeh Irshad hamne Nabi (saws) se suna hai, 

Hazrat Zahra (sa) Ne farmaya Ke Hamd Khuda keliye hai Phir farmaya ke aye Allah Tujh ko gawah banati hoon aur tum sab bhi Meri majoodgi me ho, Gawah raho ke, in dono (abu bakr/ umar) ne Meri hayat Main bhi aur Meri wafaat ke zamane main bhi Mujhe aziyat di hai, Kasam Ba-Khuda hargiz kabhi tum dono (abu bakr / umar) se Main baat nahi karongi yahan tak ke Apne pedar buzurgawar se mulaqaat karon aur tum dono (L) ki Unse shikayat karon un aziyaton ke mutalliq jo tum dono (L) ne Unko aur Mujhe paunchayi hain aur un zulm ke mutalliq jo tum ne Mere uppar dhaye hain.
(Rooh-e-Hasti, Page-56 & 57)

✩BAAB E FATIMA (s.a.) KA JALAYA JANA 
'Allama Majlisi' Alaehir Rahma farmate hain ke maene kitaab e 'Sulayem bin Qaes' meN ye waqeya is tarha dekha hai ke 'Salman' aur 'Abdullah ibne Abbas' ka bayan hai ke jis din Janab e Rasool e Khuda (s.a.w.w.) ne rehlat farmayi , usi din (abhi aapko dafn bhi na kiya tha) siwaye chand ke sabne baeyat tod di aur murtad ho gaye , aur mukhalifat par kamar basta nazar aane lage.Us waqt Ali ibne Abitalib (a.s.) tajheez o takfeen e Rasool (s.a.w.w.) meN mashghool the phir wo uske baad hasb e wasiyat e Rasool (s.a.w.w.) 'Quran e majeed' ki jama o tarteeb meN masroof ho gaye.Un logoN se unhe koi sarokaar na tha.Ek 'Musheer' (Umar ibnul Khattab  ne 'Abu Bakr'  se kaha ke ab tamam log tumhari baeyat kar chuke haiN siwaye us shakhs (Ali a.s.) ke aur uske ghar waloN ke.Lehaza uske paas kisi ko bhejo aur use bhi bulwao.

Abu Bakr ne un (Ali a.s.) ke paas 'Qunfuz'  naami ek shakhs ko bheja aur kaha ke ay Qunfuz ! Tum Ali (a.s.) ke paas jao aur kaho ke chalo tumhe khalifa e Rasool (s.a.w.w.) talab karte haiN.

Qunfuz  aapko bulane ke liye kai baar aaya magar Maula Ali (a.s.) jaane se inkaar karte rahe.Unke inkaar par Abu Bakr  ke us musheer (Umar ) ko ghussa aaya aur usne 'Khalid bin Waleed' aur 'Qunfuz' ko hukm diya ke tum log 'lakdiyaN' aur 'aag' lekar mere sath chalo.

Chunaanche ye log aag aur lakdiyan liye Maula Ali (a.s.) aur Bibi Zahra (s.a.) ke darwaze par pahonche , us waqt Bibi Zahra (s.a.) apne darwaze ke peechhe baethi hui thiN.Aapke sar par patti bandhi hui thi aur Rasool (s.a.w.w.) ki wafaat ke gham meN bilkul laaghar aur kamzor ho rahi thiN.

Wo musheer (Umar) aage badha aur usne darwaza khatkhataya aur awaaz di , "Ay Ali (a.s.) ! Darwaza kholo".

Bibi Zahra (s.a.) ne kaha , "Ay Umar  ! HumeN isi haal meN chhod de isliye ke humeN to Rasool (s.a.w.w.) ka gham hi bahot kaafi hai".

Umar ne kaha , "darwaza khol do warna maeN tumhare ghar meN aag lagaye deta huN".

Bibi Zahra (s.a.) ne farmaya , "Ay Umar  kya tum Khuda se nahi darte aur mere ghar meN zabardasti dakhil hona chahte ho"?

Is par Umar  ne aag aur lakdiyaN lekar darwaze ko jala diya aur dhakka dekar khol liya.Bibi Zahra (s.a.) saamne thiN unhone faryaad ki ,

"Ay baba , Ya Rasool Allah (s.a.w.w.)"!

Ye sun kar Umar  ne apni 'talwaar' maE neyaam ke Bibi (s.a.) ke 'pehlu' par maari.Unhone ek 'cheekh' maari.Phir usne unke hath par zarb lagayi , Bibi (s.a.) phir cheekhne lagiN "ay baba"!

CheekhoN ki awaaz sun kar Maula Ali ibne Abi Talib (a.s.) fauran daude aur Umar  ka gareeban pakad kar zor se jhitka diya , jiski taab na lakar wo zameen par gir gaya.Aapne uski 'naak' aur 'gardan' par zarbeN lagayiN aur uske qatl ka irada kiya , tabhi Rasool (s.a.w.w.) ki waseeyat yaad aayi ke AaNhazrat ne is mauqe par sabr karne ki takeed farmayi thi.

Maula Ali (a.s.) ne farmaya , "Ay Umar bin Al Khattab  maeN uski qasam kha kar kehta huN ke jisne Muhammad (s.a.w.w.) ko nabi bana kar izzat bakhshi , agar Allah (swt) ne mujhse pehle se hi ahed na le liya hota to tumlog mere ghar meN dakhil hi nahi ho sakte the".

Itne meN Umar  ne apne dusre sathiyoN ki madad se Maula Ali (a.s.) ke gale meN rassi daal di aur unhe khaeNch kar bahar le gaye.Ye dekh kar Bibi Zahra (s.a.) ne madakhlat ki lekin Qunfuz (l.a.) ne aapko aesa taziyana maara jiska nishaan marte dam tak baaqi raha.Jab aapne darwaze ke peechhe panah li to usne darwaza zor se aapke upar daba diya jisse aapki pasli toot gayi aur jo 'bachcha' (Mohsin a.s.) aapke shikam meN tha wo saqit ho gaya.Uske baad aap musalsal beemar rahiN yahan tak ke aapne isi aalam meN wafat payi.

*{Note - Ravayat ka kuchh hissa naql kiya gaya hai , mukammal ravayat kitab e Sulayem meN maujood hai}
(Kitaab e Sulayem bin Qaes e Hilali, 
Behar Al Anwar , jild - 3 , safha - 206/207, 
'Sahih Al Bukhari/Baab Al Khums' , 'Sahih Muslim/jild 2/safha 91' , 'Tareekh e Tabari/jild 3/safha 198'} - In kutub meN kam o besh ye ravayat maujood hai!)

✩BIBI ZAHRA (S.A.) KI QABR KHODNE KI KOSHISH AUR MAULA ALI (A.S.) KA UMAR IBNE KHATTAB (L.A.) PAR GHAZABNAAK HONA
Maula Ali (a.s.) ne tadfeen e Bibi Fatima Zahra (s.a.) ke baad aapki qabr ko chhipane ke liye chalees qabreN 'Baqi' meN bana diN.MusalmanoN ko jab aapki rehlat ka pata chala to Baqi ke qabristan meN aaye (Taki Fateha padheN) magar wahan pahoNche to unhone chalees nayi qabreN bani hui dekhiN to un qabroN meN Janab e Fatima (s.a.) ki qabr ka taAiyun na kar sake to bahot pareshan hue aur ek dusre ko malamat karne lage ke intehaai afsosnaak baat hai ke Janab e Rasool e Khuda (s.a.w.w.) 'EK' hi to beti chhod gaye the wo bechari inteqaal kar gayi aur dafn bhi ho gayi magar tumlog na uski wafaat ke waqt pahonche aur na uski namaz e janaza padhi , ab tumhe ye maloom nahi ke uski qabr kis jaa aur kaunsi hai ?!

Jab sahibaan e iqtidaar (Abu Bakr o Umar) ko khabar mil to unhone hukm diya , ye tamam qabreN khod kar asl qabr ka pata lagaya jaye take unki namaz e janaza padhi ja sake.

Jab iski ittela Maula Ali (a.s.) ko hui ke in logon ke ye azaem haiN to aap ghar se is aalam meN baramad hue ke ghusse se aaNkheN surkh ho rahi thiN , gale ki rageN phooli hui thiN aur aap apni mashhoor 'zard' qaba pehne hue the (jo aap shadeed masaeb ke waqt pehna karte the) aur 'zulfiqaar' ko tekte hue 'jannatul baqi' meN pahonche.

Kisi ne un logoN (Abu Bakr o Umar) ko jaa kar khabar pahoncha di ke Ali (a.s.) ghusse meN bhare hue aa rahe haiN aur unhone qasam khayi hai ke agar in qabroN meN se kisi ek qabr ki koi ek eeNt bhi hatayi gayi to khoon ki nadiyaN baha duNga!

Itne meN Maula Ali (a.s.) se Umar ibnul Khattab (l.a.) ki mulaqaat ho gayi.Usne kaha "ay Abul Hasan (Ali a.s.) ! Tum humara kya kar sakte ho , Khuda ki qasam ! Hum Fatima (s.a.) ki qabr khod kar unki mayyet par namaz padheNge"!

Ye sunte hi Maula Ali (a.s.) ne aage badh kar uska 'gareeban' pakad liya aur use utha kar zameen par de 'maara' aur farmaya :

"Ay jashn ke bachche (Umar) maene apna haq isliye chhod diya ke log deen e islam se murtid na ho jayeN lekin qabr e Fatima (s.a.) ki taraf tune ya tere sathiyoN ne aaNkh bhi utha kar dekha to maeN tum logoN ke khoon se is zameen ko seeNch duNga.Ab agar ye chaho to aage qadam badha kar dekho"!

Itne me Abu Bakr (l.a.) darmiyan me aa gaya aur kaha ay Abul Hasan (a.s.)! Tumhe Khuda (swt) aur uske Rasool (s.a.w.w.) ka waasta ise chhod do , humara wada hai ke hum ab koi aisi baat na kareNge jo tumhare ghusse ka sabab bane.Ye sun kar aapne Umar ibnul Khattab (l.a.) ko chhod diya aur sab log wapas chale gaye.
(Dalail Al Imamat Tabari, Behar Al Anwaar, V.3, P.205/206, Urdu Edition)

✩Janabe Zahra (sa) se Hadith 
1. JANABE ZEHRA (S.A.)
 Aurto ke liye sab se behtareen cheez yeh hai ke mard unko na dekhe aur woh mard ko na dekhe.
(Kashful Gummah 2/23)

2.JANABE ZEHRA.(S.A.)
Aurat us waqt apne khuda se sab se zyada nazdeek tab hai jab woh apne ghar me rahe.
(Behar 92/162)

3. JANABE.ZEHRA.(S.A.)
Khuda wanda Aalam nay apni Ita'tat par sawaab aur maasiyat par azaab (iss liyie) muqurrar kiya hain taakey apney bandon ko azaab o balaoon se baaz rakhey aur bahisht ki taraf lay jaye.
(Guftaar e Dilnasheen, P 33)

4. JANABE.ZEHRA.(S.A.)
Mai Duniya Paraston Ki Duniya Ko Pasand Nahi Karti.
(Jalwa e Noor, Safa 76, Hadees 25)

✩'Mafaatih ul Jinaan'
Marhum Shaikh Abbas Qummi ne kaafi kitaabein likhi jisme mash'hoor tareen kitaab 'Mafaatih ul Jinaan' bhi shaamil hai. 

Unke farzand Shaikh Mahdi ne apne waalid se sawaal kiya ki kis wajah se 'Mafaatih ul Jinaan' itni mash'hoor huwi aur pichhli tamaam Dua ki kitaabo'n par haawi ho gayi?

Shaikh Abbas Qummi ne jawaab diya, "Jab main is kitaab ko murattab (compile) kar raha tha tab maine ise H. Zahra (sa) ki ruuh ko waqf (dedicate) kar diya jiske natije mein ye kitaab itni mash'hoor huwi (Allah ki marzi se)".
(Dispensations and Favours of Fatimat-uz-Zahra (a.s.), p84)

✩Nauha :- Bibi Fatima Zehra (s.a)
Recited By :- Ali Deep Rizvi.
Related To :- Ayyam-e-fatemi s.a
▪▪▪▪▪▪▪▪▪
🖥Watch HD On Jafferynews YouTube channel 👇

https://youtu.be/8XPCJNC-Gio

▪MARSIYA :- 
AAJ RUKSAT HO RAHI HAI TUM SE ZEHRA (SA) YA ALI (AS)▪

https://youtu.be/ayCdVo-LvxA
_________________________________________

▪FULLY COLLECTION OF NAUHA RELATED TO AYYAM-E-FATEMI▪

1⃣ ▪NAUHA :- EK TEHREER▪

https://youtu.be/rDVke7ZSjBA

2⃣▪NAUHA :- RONE WALO SHEHER MADINE ME.▪

https://youtu.be/-FY53qcLy5Y

3⃣ ▪NAUHA :- AKELI HAI ZEHRA▪

https://youtu.be/paKUYxgPB3U

4⃣ ▪NAUHA :- GHAM-E-FATEMA▪

https://youtu.be/TFIq-MfDV_E

5⃣ ▪NAUHA :- AS-SALAM-O-ALAIKE YA SAIYEDA▪

https://youtu.be/kiS26QvS7OU

6⃣ ▪NAUHA :- GHURBAT KI INTEHA▪

https://youtu.be/M-2wKyJxkmM

7⃣ ▪NAUHA :- KYA KYA NA ZULM DHAYA GAYA, BABA TERE BAAD▪

https://youtu.be/_QXemhevhzs

8⃣ ▪NAUHA :- DYARAY FATIMA ZEHRA (AS) HA YE ADAB SE CHALO▪

https://youtu.be/q2HAEcC6ug8

9⃣ ▪NAUHA :- SYEDA KI MAUT PE MUSHKIL KUSHA RONE LAGE.▪

https://youtu.be/CUYgLp56s0c

🔟 ▪NAUHA :- BETI KA PAYAMBAR KO.▪

https://youtu.be/FD0Ln08wGMU

1⃣1⃣ ▪NAUHA :- SALVATO SALAM AAP PE YA FATEMA ZEHRA▪

https://youtu.be/hj2ciIrZS_k

1⃣2⃣ ▪NAUHA :- YA ZEHRA (AE MERE BIBI)▪

https://youtu.be/UresJhBsrig

1⃣3⃣ ▪NAUHA :- AAI ZEHRA KI SADA▪

https://youtu.be/mxGx_RGUHoI

1⃣4⃣ ▪NAUHA :- YA ZEHRA▪

https://youtu.be/vLrrwYj7KmA

1⃣5⃣ ▪NAUHA :- ISLAM KO HAYAT MILI ZEHRA KE DAR SE.▪

https://youtu.be/_lyr0IJQQr8

1⃣6⃣ ▪NAUHA :- BIBI FATIMA ZEHRA▪

https://youtu.be/8XPCJNC-Gio

No comments:

Post a Comment