Friday 30 October 2015

Fazilat/Wilayat/Dushman e Ahlulbait (a.s)

Fazilat/Wilayat e Ahlulbait (a.s)

1. Imam Reza (as):
Jo shakhs chahta hai je woh ALLAH se ba imaan mile toh usse MOHAMMED (S.A.W.A.) ki aal se dosti aur unke dushmno se bezaree kare.
(Usul e Kafi 2/36)

2. Imam Sadiq (as):
Khuda ki qasam! Ali (as) ki mohabbat par koi nahi marega magar ye ke wo marne se pehle apna pasandida aur mehboob thhikana (yaani Jannat mein apna maqaam) dekh na le aur Khuda ki qasam! Ali (as) ke bugz mein koi nahi marega magar ye ke marne se pehle apna bura aur na-pasandida thhikana (yaanii Jahannum ka maqaam) dekh kar marega.
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p53)

3. Rasule Khuda (sawa):
Ay Ali (as), farishte Allah ko tumhari kasam dete hai aur apni haajate talab karte hai aur tumhari mohabbat se qurb e khuda haasil karte hai aur hum par durood bhejne ko sab ibadato se badh kar ibadat jaante hai.
(Aasar e hyderi pg78)

4. Imam Sadiq (as):
Jo koi mere jad H. Ali (AS) ki ziyaarat kare to Allah uske ziyarat ke liye uthaaye gaye HAR KADAM ke inaam me EK QABOOL SHUDA HAJ AUR EK BEHTAREEN UMRA ka sawaab ataa karega.
(Ziyarate Ashoora)

5. Rasule Khuda (saww):
Jo koi bhi ye chaahta hai ke ilm e Adam(as) aur parhezgaari e Nuh (as) aur burdbaari (forbearance / sahahsheelta) e Ibrahim(as) aur azmat e Musa(as) aur ibaadat e Isa (as) par nazar kare to wo Ali ibne Abi Talib (as) par nigaah kare.
(Maula Ali Ki Shaan Mein 1000 Ahadees, Hadees-270, Page-188)

6. Rasule Khuda (saww):
Jo Hazrat Ibrahim (as) ki burdbaari, Hazrat Nuh (as) ki farmabardari aur Hazrat Yusuf (as) ka husn dekhna chaahe, wo Ali (as) ke chehre ko dekhe.
(Maula Ali Ki Shaan Mein 1000, Ahadees, Hadees-271,Page-189)

7. Rasule Khuda (saww):
Jo koi chaahe ke wo jamaal e Yusuf (as), sakhaawat e Ibrahim (as), SulaImaan (as) ki hujjat aur Dawood (as) ki hukumat dekhe, to usay chahiye ke Ali (as) ko dekhe.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p611)

8. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Adam (as) ko unke akhlaaq mein aur Nuh (as) ko unki hikmat mein aur Ibrahim (as) ko hukm mein dekhna chahta hai, wo (is) Ali ibne Abi Taalib (as) ko dekh le.
(Amaali - Shaikh Mufeed, p33)

9. Rasule Khuda (saww)
ne H. Ali (as) se farmaya, "Tum mein Isa (as) ki shabaahat (samaanta / similarity) paayi jaati hai. Agar mujhe ye andesha na hota ke log tumhare baare mein wo baatein na karne lag jaayein jo ke Nasara ne Isa (as) ke mutalliq kahi thi to main tumhare itne fazaail bayaan karta ke tum jahaa'n se bhi guzarte log tumhare qadmo'n ki mitti ko mutabarrik samajh kar uthha lete."
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p553)

10. Rasule Khuda (saww):
Khuda Wande Mut'aal ne mere bhai Ali ibne Abi Talib (as) ke beshumaar fazaail bayaan kiye hain. Jo bhi unke fazaail mein se ek fazilat ko zikr kare aur uska iqraar kare to Khuda Wanda uske pehle aur aainda waale gunaah maaf kar dega chaahe jitne bhi bhaari gunaah kyun na ho'n. Aur jo bhi unke fazaail mein se kisi ek fazilat ko likhega, jab tak uska likha huwa baaqi rahega Malaaika uske liye Maghferat talab karte rahenge. Aur jo unki kisi ek fazilat ko sunega, Khuda Wanda uske kaano'n se kiye huwe gunaah maaf kar dega. Aur jo bhi unke likhe huwe fazaail par nigaah karega to Khuda Wanda uske tamaam gunaah jo usne aankho'n se anjaam diye hain maaf karega…
(Maula Ali Ki Shaan Mein 1000 Ahadees, p51)

12. Imam Sadiq (as):
Khuda ne Ali (as) ko Apne aur Apni makhlooq ke darmiyaan alaamat banaya hai. Pus, jisne unki maarefat haasil ki wo Momin hai aur jisne inkaar kiya wo Kaafir hai aur jo unse jaahil raha wo gumraah hai aur jisne unke saath kisi shay ko qaaem kiya wo Mushrik hai. Jisne unki Wilayat ka iqraar kiya wo daakhil e Jannat huwa aur jisne unse adaawat ki wo waasil e Jahannum huwa.
(Al Kaafi, v4, p360)

13. Rasule Khuda (saww):
Allah Azz wa Jall ne 124000 Nabi khalq kiye ke Allah ke nazdeek unme sabse zyada saaheb e ikraam main hoo'n aur (mujhe) koi fakhr nahi aur Allah Azz wa Jall ne 124000 Wasi khalq kiye ke unme Allah ke nazdeek Ali (as) sab se zyada saaheb e ikraam hai aur sab se afzal bhi.
(Khisaal¸ p427)

14. Rasule Khuda (saww):
Ali ibne Abi Taalib (as) ki taraf dekhna Ibadat hai. Unka zikr Ibadat hai. Kisi bhi shakhs ka Imaan oos waqt tak qubool na hoga jab tak wo Ali (as) se mohabbat na rakhe aur unke dushmano'n se nafrat na kare.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p129)

15. Rasule Khuda (saww):
H. Jibraeel (as) mere paas aaye aur kaha, Ya Rasulallah (saww)! Allah ne aap ki taraf Wahi farmayi hai ke Ali (as) ki fazilat ke baare mein jo shakhs bhi aap ki mukhaalefat (oppose) karega wo Jahannum mein jayega aur jo aap ki ita'at (obey) karega wo Jannat mein jayega.
(Amaali  Shaikh Toosi, v1, p311)

16. Imam Sadiq (as):
ALLAH per wajib hai ke koi shaks jis ke dil me IMAM ALI (A.S.) ke dushmano ki mohabat ek rai ke dane ke barabar ho toh usse jannat me dakhil nahi karega.
(Noorus Saqalain 1/585)

17. Imam Reza (as):
Jo shakhs Hamare dushmano se dosti aur Hamare dosto se dushmani rakhta hai woh Dajjal se bhi zyada khatarnaak hai.
(Sifat ush shia pg 50 H.no 14)

18. Imam Sadiq (as):
Wilayat ke zariye malaika. ALLAH se qurbat hasil karte hai aur hamare chahne walo ke liye Istegfar aur hamare dushmano ke liye Lanat bhejte hai.
(Basaerud Darajaat pg 68)

19. Imam Sajjad (as) :
Quiyamat ke din ALLAH us shakhs per Rahm nahi karega jis ne ALLAH ke taraf se bheje gae Imam ko radh kare.
(Behar 31/605)

20. Rasule Khuda (sawa):
Qayamat kay din sab se pehley hum Ahle Bayt (as) ki mohabbat kay barey mein sawaal kiya jayega.
(Aqwaal e Masoomeen(a.s), p.151)

21. Imam Hussain (as):
Hum Ahlebait (as), Khilqat-e-Adam (as) se pahle bhi Noor ki Tasveer the aur Arsh-e-Elahi ke Har taraf gardish karte the, Bas Ham Malayeka ko Tasbeeh (Subhanallah) aur Tahleel (La Ilaha Illallah),  aur Tahemid Alhamdo Lillah ki Taleem dete the.
(Rooh-e-Hasti, Page-75)

22. Rasule Khuda (sawa):
Mere AHLE BAIT (A.S.) ki misaal kashtee e Nooh ki tarah hai jo usme sawaar ho gaya bach gaya aur jo nahi huwa woh garakh hogaya.
(Bihar-ul-Anwar, Vol-27,Pg-341)

23. Hazrat Salman Farsi (as):
Mainy Apnay Aaqaon Ko Jin Halat Mai Dekha Hai Agar koi Or insaan Dekhta To Pagal Ho Jata Ya Mar Jata,

Mainy Unhain Farsh Par Taveel Sajday Karty Dekha Hai Or Arsh Par Tamam Khudai Ko Un K Aagay Sajda Raiz Dekha,

Mainy Farsh Par Makhlooq Ko Un Par Zulm Karty Dekha Or Arsh Par Unko Makhlooq Ko Khalaq Karty Dekha,

Ek Taraf Sakht Mushaqat Mazdori Karty Or Ek Taraf Unahain Malaika Ko Khalq Karty Dekha,

Ek Taraf Taveel Faqay Karty Or
Ek Taraf Rizq TaqseeM Karty Dekha,

Mainy Kaiee Bar Muhammad saww Ko Ali as Or Ali as Ko Muhammad saww Hotay Huway Dekha Hai,

Mainy Apnay Aaqaon Ko Khaliq Bhi Dekha Hai Or Makhlooq Bhi, Sajid Bhi Or Masjood Bhi, Abid b Or Maabood Bhi, Banda Bhi Or Rab Bhi."
(Fakhar-e-Faras,P.88)

24. Imam Sadiq (a.s):
Kya hamare Imamo ke elawa koi aur ausia (wali) hai jinke baare me Rasulallah (s.a.w.a) ne farmaya ho ke inki maarfat hasil kare? Aur jo koi bhi mar gaya aur apne imam ko na pehchane to iski mout haalat-e-kufr ki mout hai aur inkaar ki mout hai.
(Kitab:Alqatrato Min Bihaar-E-Manaqib-E-Alnabi Wal Itratey
(Ayatullah Syed Ahmad Mustanbat Qudas Sira), Page 13)

25. Imam Sadiq (a.s):
Maarfat-e-Khuda ke baad koi amaal bhi namaz ke hum palla nahi hai.
Iske baad zakat, uske baad roza aur phir hajj. In tamam amaal ki ibteda aur inteha hamari maarfat hai.
(Kitab:Manaqib-e-Ahl-e-Bait,Page-8.
Tajuma-e-Kitab:Alqatrato Min Bihaar-E-Manaqib-E-Alnabi Wal Itratey
(Ayatullah Syed Ahmad Mustanbat Qudas Sira)

26. Imam Sadiq (a.s):
Allah ne Moosa se farmaya:
Agar tu Mohammad (s.a.w.a) ki aur unke Ahlebait ki maarifat kare to tu inki ummat men se hai. Meri makhlooqaat ke darmayan inki aur inke Ahlebait (a.s) ki misaal ayse hai jaise firdos ki misaal jannat me hai. Iske pattey nahi Girte aur iska zaiqa tabdeel nahi hota.
(Manaqib-e-Ahlebait,Hisa-1,Safha-7)

27. Imam Sadiq (as):
Agar hame ijazat hoti ke jo muqam hamara Khuda ke nazdeek hai wo logon ko bata sake, to tumme ise tahammul aur qabool karne ki taqat na hoti.
(Bihar-ul-Anwar, Vol-25, Page-385, Hadees-41;
Manaqib-e-Ahlebait, Hisa-1,Safha-70)

28. Imam sadiq (as):
Ay Himraan bin Aeyen, dunya asmaan aur zameene is hatheli ki manind hai. Inke zahir aur baatin inke kharij aur dakhil, aur inke khushk o tar sab Imam janta hai.
(Bihar 25/385 Hadees 42;
Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1,Safha 71;
Almukhtasir Safha 143)

29. Imam sadiq (as):
Khuda ne arsh ke neechay jo paida kya hai wo sab Imam ke ikhtiar mai hai.
(Bihar ul Anwar, Vol-25, Page-58;
Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 72)

30. Imam Ali (as):
Hum AhleBayt ka zikr rohani wa jismani bimarion k liay shifa, aur shaitani waswason say bachne ka sabab hai, aur hamari dosti ALLAH ki khushnodi hai.
(Al Khisaal, v2, pg635)

31. Rasule Khuda (sawa):
Allah (s.w.t) ka zikr ibadat hai,
Maira (s.a.w.a) zikr ibadat hai,
Ali (a.s) ka zikr ibadat hai aur
Meri aulad men se imamon ka zikr ibadat hai.
(-Manaqib-e-Ahlebait, Hisa-1, Safha-126;
-Ikhtesas Shekh Mufeed,
-Bihaar ul Anwar, Vol-36, page-370)

32. Rasule khuda (sawa):
Sura Burooj,Ayat 1 ki tilawat ki
“Is Aasmaan ki qasam jo burjon wala hai”
aur farmaya:
"Aasmaan se muraad mai hun aur burjon se murad merey baad Aaema(a.s) hai. In men se pehla Ali(a.s) aur in ka akhir Mehdi(a.s) hai."
(-Sura Burooj, Ayat-01;
-Manaqib-e-Ahlebait, Hisa-1,Safha 126;
-Ikhtesas Shekh Mufeed;
-Bihaar ul Anwar,Vol- 36, Page-370)

33. Imam Musa Kazim (as):
Ek baar Rasule Khuda (saww) ki khidmat mein ek Farishta aaya aur usne kaha, "Main Mahmood hoo'n, Allah Azz wa Jall ne mujhe bheja hai taake main ek Noor ki doosre Noor se shaadi karwa doo'n".

Aap (saww) ne farmaya, "Kis ki shaadi kis se?" Farishte ne kaha, "FATIMA (sa) ki shaadi ALI (as) se."

Phir jab wo Farishta pichhe ki taraf ghooma to uske dono'n kaandho'n ke beech mein likha huwa tha "MUHAMMADUR RASULALLAH, ALIYYO WASIYOH."

To Rasule Khuda (saww) ne farmaya,
"Tumhare in dono kaandho'n ke beech mein ye kab se tehreer hai?"
Farishte ne kaha, "Allah Azz wa Jall ke H. Adam (as) ko khalq karne se 22000 saal pehle se."
(Al Khisaal, Page-426)

34. Imam Sadiq (as):
Hamari Hadeesain Suno aur Hum (Ahlebait) par jhoot na bolo. Kyun k Jo Hum par Jhoot bolta hai wo goya Rasul e Khuda SAWW par jhoot bolta hai aur Jo Unn par Jhoot bolta hai wo Khuda par Jhoot bolta hai aur Jo Khuda par Jhoot bolay ga, Khuda, ussay zaroor azaab karay ga.
(-Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma
-Wasaail u Shia Jild 8 Safha 468 Hadis No 4,
-Asool e Kaafi Shekh Yaqoob Kuleni)

35. Sheikh Sadooq (r.a) ki kitab Al khisaal me Hazrat Imam Raza (a.s) se aur wo apne aabaa o ajdaad se naql karte hai ke Paighambar e Akram (s.a.w.a) ne farmaya:

"Qayamat ke din 4 tarha ke aadmion ki shafaa-at karunga agar che wo tamaam ahle zameen ke gunaahon ka wazan apne sir lekar mere paas aaye, wo loog ye hai.

1) Wo loog jo mere Ahlebait(a.s) ki madad karte ho,

2) Wo loog jo mere Ahlebait(a.s) ki zarooriyaat ko poora karte ho,

3) Wo loog jo dil aur zabaan se Ahlebait(a.s) ko dost rakhte ho,

4) Aur wo loog jo mere Ahlebait(a.s) ki himayat karne ke saat unka difaah karte rehte ho.
(- Al khisaal,vol-1, page-196;
- Bihar ul Anwar, vol-96, page-225;
- Akhbar ur Raza, vol-1, page-283)
AHLEBAIT (as) KE DUSHMAN

36. Rasule Khuda (saww):
Jis ne mere Ahlebait (as) par zulm kiya, jis ne unse jung ki, jis ne unke khilaaf zaalim ki madad ki aur jis ne unhe gaaliyaa'n di, unke liye Jannat ko haraam qaraar diya gaya hai aur Qayamat ke din Allah aise logo'n ki taraf nigaah (e karam) nahi karega, unhe paak na karega aur unke liye dard-naak azaab hai.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p89)

37. Imam Sadiq (as):
Haram-zade (illegitimate child born out-of-wedlock) ki 4 nishaniyaa'n hain: Ahlebait e Paighambar (saww) se dushmani rakhna, Zina ka shauq rakhna ke oosi se paida huwa hai, Deen ko haqeer samajhna, logo'n se bura bartaav rakhna.
(Hadiyat ush Shia, p276)

38. Rasule Khuda (saww):
In logo'n ko kya ho gaya hai ke jab unke saamne H. Ibrahim (as) ki aal ka zikr kiya jaata hai to ye khush ho jaate hain aur jab unke saamne Aal e Muhammad (as) ka zikr kiya jaata hai to unke chehre khauf-zada ho jaate hain aur unke dilo'n mein nafrat paida ho jaati hai? Mujhe qasam hai Oos Zaat ki Jiske qabza e qudrat mein Muhammad (saww) ki jaan hai, agar koi shakhs Qayamat ke roz 70 Ambiya ke barabar amal lekar bargaah e Khuda mein haazir hoga aur uske dil mein meri aur mere Ahlebait (as) ki Wilayat na hogi to uska koi amal bhi qubool nahi kiya jayega.
(Amaali - Shaikh Toosi, v1, p367)
(Amaali - Shaikh Mufeed, p190)

39. Rasule khuda (sawa):
Ye mumkin hi nahi ki Ali ibne Abi Talib (as) ki fazilato ko shumar kar sako.
Agar koi Ali(as) ki fazilato ko sune Allah (swt) os shaks ke on saare gunaho ko maaf kar dega jo osne on kaano se kiye hai;

Agar koi Ali(as) ki fazilato ko padhe to Allah(swt) oske oss saare gunaho ko maaf kar dega jo os ne on aakhon se kiye hai..
(Bihar al-Anwar V26 P 229 H10)

40. Ek shaks Imam Raza (as) ki khidmat me Haazir Huwa Or Arz kiya?

Kuch log Aal e Mohammad (as) ke Alqabaat Apne liye Aur apne peshwaon ke Liye Istemaal Karte hain in ke bary me Kiya Hukm Hai?

Imam (a.s) ne farmaya Humare Alqaab Allah ke Alqaab Hain Aur inko kisi Insaan ke liye Istemaal krna shirk Hai Jo Alqaab Humare liye istemaal ho chuke hain Woh Kisi Bhi Insaan ke Liye istemaal nahi ho sakte Chahe woh Insaan Kitna hi muttaqi Kyun Na Hoo.
(Afkaaar e Rizvi, Page-18)

41. Imam J'afar Sadiq (a.s.):
Ek din Rasule Khuda (s.a.w.a.) ne Imam Ali (a.s.) se irshaad farmaya, "Aey Ali (a.s.) kya main aapko ek khushkhabri du?" Imam Ali (a.s.) ne jawaab mein kaha, "Ji haan, mere maa baap aap per qurban ho, koi khushkhabari aap per naazil nahi hoti ke siwaye usmein khair ho.

Aap (s.a.w.a.) ne irshaad farmaya, Jibraeel (a.s.) ne abhi-abhi mujhe ek khabar di hai." Imam Ali (a.s.) ne us khabar ke bare mein daryaft kiya, aap (s.a.w.a.) ne irshaad kiya, "Jibraeel (a.s.) ne khabar di hai ke, meri ummat mein koi shakhs mere aur mere Ahle Bait (a.s.) per salwaat bhejta hai to uske liye aasmaan ke darwaaze khul jaate hain, farishte us shakhs per salwaat bhejte hain. Aur agar wo gunaahgaar hua to uske gunaah misle darakht ke patte jhadh (gir) jaate hain. Allah subhanahu wa t'aala usse kahta hai,
"Aey mere bande! main tumko sun raha hu, tumhare liye khush'haali hai." phir Allah farishto se mukhatib hokar kahta hai, "Tum is (shakhs) per sattar (70) martaba salwaat padho, Main saat sao (700) martaba salwaat phadta hu.

Phir Rasule Khuda (s.a.w.a.) ne irshaad farmaya,
Agar koi shakhs mere uper salwaat phadhta hai lekin mere Ahle Bait (a.s.) per salwaat nahi pahta hai to uske aur jannat ke darmiyaan 70 parde hain. Allah subhanahu wa t'aala usse kahta hai, Main tumhe nahi sun raha hu aur tumhare liye na to koi khair hai aur na hi koi khushkhabri hai. Aey mere farishto! Iski koi namaaz mujh tak na laana siwaaye is ke wo aapne aapko Rasool (s.a.w.a.) aur unke Ahle Bait (a.s.) se munsalik na kar le." Phir wo parde haayal rahenge ke jab tak wo (shakhs) aapne aapko mere Ahle Bait (a.s.) se munsalik na kar le.
(Bihar ul Anwaar, Vol-91, Page-56, tradition no-30)

42. Rasule khuda (sawa):
Jo  Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib (as) se mohabbat karta hai oski Namaz, Roza, ebadat aur Dua qabool hogi. Allāh(swt) ose oske ghar ke 80 logo ki shafa`at karne ki ejazat dega.
(Al-Mawaaizh)

43. Rasule khuda (sawa):
Amir al-Mu'minin Imām ‘Ali ibn Abi Talib (a.s.) ki wilayat ek Qila hai aur jo bhi iss Qile me aagaya (wilayat ko kabul ki) wo Jahannum ki aag se najat paa gaya.
(Jami’ al-Akhbar, Page 52, Hadith 7)

44. Imam Ja'far Sadiq (as):
Allah ke Awliya (doston) ki Mohabbat aur unki Wilayat (qubool karna) wajib hai. Aur unke Dushmano se dushmani wajib hai; Aur un se (dushmani) jinhone Aale Mohammed (as) par zulm kiya, unke hijab ko chaak kiya, Janabe Fatima (sa) se fidak cheena, unki meeras unhe nahi di, unke aur unke shohar ke haq ko ghasb kiya, unke ghar ko jalaya, zulm ki bunyad rakhi.....Aur jin logo ne Ahle Bait (as) ko qatl kiya un se dushmani rakhna wajib hai.
(Behar ul Anwaar,Vol 27, Page 52)

45. Imam Ali (a.s)
Khush naseebtareen shaqs woh hai jo hamari fazilato'n ko samjhey aur Allāh ka taqarrub (khurbat) hamarey zariyie hasil karey aur hum se khalis mohabbat rakhey, hum ne jo kuch kaha uss par amal karey aur hum ne jiss se mana kiya ussey tark karey, woh hum mein se hai aur woh dar e jawedani mein hamarey sath hoga.
(Tajalliyat Al-Hikmah, H.7, P.59)

46. Imam Ali (as):
Kasam hai ush Khuda ki Jo beech aur khajoor ki guthli ko phadne wala hai. dozakh ki aag Hamare mohib ko apne lappet me nahi lege aur Hamse bughz rakhne wala jannat me nahi jayega.
(Manaqib-e-Ahlebait (a.s), Al-Qatra, v3, p267)

47. Rasule Khuda (saws):
koyi bhi dushman Ali (as) ke saat dushmani nahi karega, magar woh ke jiski MAA ke rahem me shaitan uska shareek ho, Allah Tala Sure Asra Ayat 46 me Farmata hai, “Aur unke amwaal aur aulad me shareek hojao” ke bhi yahi mane hai.
(Manaqib-e-Ahlebait (a.s), Al-Qatra, V3/p237/238)

48. Rasule Khuda (saws):
Aye Abal Hasan (as) Agar Tamaam Samundar Roshnayi Tamaam Jungal Qalam, Tamaam Insaan Lekhne wale aur Jin hisab karnewale ho jaiyen toh Aap ke fazael shumar nahi kar sakte.
(Manaqib-e-Ahlebait (a.s) Al-Qatra, v3, p237)

49. Imam Ali (as):
Hamarey nazdeek afzaliyat osi ko hasil hai jis ne Hum se mohabbat aur doosti ki aur hamari dushmani rakhney waley se adawat rakhi.
(Tajalliyat Al-Hikmah, P59)

🔹🔸🔹🔸🔹🔸

Salawat on Ahle Bait (a.s)
Imam Ja’far Sadiq (a.s.):
In response to a question that how should Salwaat be recited on Mohammad (s.a.w.a.) and his progeny?
He (a.s.) said:

♡صَلَوَاتُ اللَّهِ وَ صَلَوَ١تُ مَلآءِكَتِهِ وَ اَنْبِيآئِهِ وَ رُسُلِهِ وَ جَمِيْعِ خَلْقِهِ عَلَىٰ مُحَمَّدٍ وَآلِ مُحَمَّدٍ وَ السَّلَامُ عَلَيْهِ وَ عَلَيْهِمْ وَ رَحْمَةُ اللَّهِ وَ بَرَكَاتُهُ

Swalawaatullahi wa swalawaatu malaikatihi wa ambiyaa ihi wa rusulihi wa jamee’i khalqihi a’la Muh’ammadin wa aali Moh’ammad wassalamu a’laihi wa a’laihim wa rah’matullahi wa barakatuh.

Then he was asked about reward of its reciting. He (a.s.) said: A person becomes pure from sins as if he has just born.
(Behaarul Anwaar, vol. 94, Page-54, Tradition no. 27;
-Maanil Akbaar, Page-368)