Saturday 5 March 2016

IMAM SAJJAD (AS)

Riwayat:
Imam Zainul Abedeen (as) mein 23 khususiyaat paayi jaati thi:
1) Din raat mein 1000 Rak'at Namaz padhte the,
2) Namaz ke waqt chehre ka rang badal jaata tha,
3) Namaz mein misl e Abd e Zaleel bargaah e Ilaahi mein khade hote the,
4) A'aza kaa'npte the,
5) Har Namaz ko misl e aakhri Namaz ke padhte the (chunaanche ek din Namaz mein rida kaandho'n se giri to nahi sambhala ke ye bargaah e Ilaahi mein adab ke khilaaf hai. Ek shakhs ne arz ki ke phir hum logo'n ka kya hoga? Hamare yahaa'n ye khuloos kahaa'n hai? Aap ne farmaya,
6) Nawaafil padho taaki waajibaat ki kami poori ho jaaye,
7) Raato'n mein gareebo'n tak roti pahu'nchana,
8) Faqeer se mu'nh chhupa kar usay Sadqa dena,
9) Ek Naaqeh (camel) par iktefa karna,
10) Usay taaziyana (whip) bhi na marna,
11) Musalsal mashgool e Ibadat rehna (chunaanche aap ki kaniz ka bayaan hai ke maine kabhi),
12) Din mein khana nahi pesh kiya aur raat mein kabhi bistar nahi bichhaya,
13) Har ek ke saath behtareen sulook karna (chunaanche ek shakhs ne aap ki buraayi ki to farmaya ke agar tu,
14) Sachcha hai to Khuda mujhe Maaf kar de aur,
15) Jhoota hai to tujhe maaf kar de,
16) Aap Taalib e Ilm ko dekh kar khade ho jaate the aur farmate the ye Rasule Khuda (saww) ki wasiyyat hai,
17) Aap Madine ke 100 gharo'n ke Kafeel (ghar-kharch ki zimmedari uthhane wale) the,
18) Apne saath yateemo'n ko aur miskeeno'n ko bithha kar khilaate the,
19) Aajizo'n (incapable / aksham) logo'n ko apne haath se khilaate the,
20) Sahibaan e Ayaal (family members) ke liye khana saath kar dete the,
21) Pehle Sadqa de dete the phir khana khaate the,
22) Har saal Sajde ki jagah ghatte saaf kiye jaate the,
23) Tamaam umr khana aur paani dekh kar apne pidar e buzurg-waar par girya farmaate the.
(Khisaal, ch23)