Monday, 18 March 2019

Imam Ali (a.s) ke Shia (S. Saaffaat - 83)

Riwayat

Surah Saaffaat, Ayat 83 "Wa Inna Min Shi'atehi La Ibrahim" (Aur yaqeenan unhi ke Shiyo'n mein se Ibrahim (as) zarur the) ke zimn mein Imam Sadiq (as) ne farmaya, "Jab H. Ibrahim (as) ke saamne se parde uthhaye gaye to aur Malakut o Samaa ki unko sayr karayi gayi to unhone Arsh ke pehlu mein ek Noor dekha to daryaaft kiya ke, 'Aye Parwardigaar! Ye Noor kis ka hai?" To jawaab mila ke, 'ye Noor e Muhammad (saww) hai jo Meri tamaam makhlooq se burguzida (pasandida) hai'. Phir uske pehlu mein doosra Noor dekha to puchha ke, 'Ye kaun hai?' To jawaab mila, 'Ye Ali ibne Abi Taalib (as) ka Noor hai jo Mere Deen ke naasir hai'. Phir unke pehlu mein 3 Noor e darakshaa'n dekhe to unke mutalliq daryaaft kiya to irshaad e Parwardigaar huwa, 'Ek Noor e Fatima (sa) hai jo apne Shiyo'n ko aatish e Jahannum se azaad karaegi aur 2 uske farzando'n yaani Hasan (as) aur Husain (as) ke Noor hain'. Phir H. Ibrahim (as) ne arz ki, "Aye Parwardigaar! In 5 Anwaar ke ird-gird mujhe 9 Anwaar nazar aa rahe hain, ye kaun hain?' To Ali ibne Husain (Imam Sajjad) (as) se le kar H. Hujjat ul Asr (atfs) tak naam ba-naam Aimma (as) ka tarruf karaya gaya ke ye Ali (as) aur Fatima (sa) ki aulaad se honge. H. Ibrahim (as) ne arz ki, 'Aye Parwardigaar! In 14 ke ird-gird be-hadd o hisaab anwaar maujood hain, wo kaun hain?' To irshaad huwa ke, 'Ye inke Shiyo'n ke noor hain'. Pus, unhone arz ki ke, 'Unki nishaniyaa'n kya hongi?' To jawaab mila, 'Unki ye nishaniyaa'n hongi: 1) Rozana 51 Rakat Namaz padhenge (17 Waajib aur 34 Nawaafil), 2) Bismillah ko zor se padhna, 3) Ruku se pehle Qunoot padhna, 4) Daayein (right) haath mein anguthhi pehen'na'. Aur baaz riwaayaat mein paa'nchvi nishaani Ziyarat e Arbaeen mazkur hai. Oos waqt H. Ibrahim (as) ne Dua maangi, "Aye Allah! Mujhe H. Ameerul Momeneen (as) ke Shiyo'n mein qaraar de!"

Tafseer e Anwaar e Najaf, v12, p43