↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟
SHAHADAT-E-JANABE FATIMA ZEHRA (سلام الله عليها)
↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟
Allama Majlisi r.a. farmate hein ke maine Sulaim bin Qais mein ye waqiya is tarah dekha hai ke ,
Salman aur Abdullah ibne Abbas ka bayan hai ke jis din janab e Rasool Allah (صلى الله عليه وآله وسلم). ne rehlat farmaee , usee din siwaye chand ke sab logo'n ne bayyat toddi aur murtad hogaye aur muqalifat par kamarbasta nazar aaney lagey . Is waqt Ali Ibne Abi Talib (عليه الصلاة والسلام) tajheez o takfeen e Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) mein mashghool they , phir wo iske baad hasb e wasiat e Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) , Quran e Majeed ki jama' o tarteeb mein masroof hogaye . In logo'n se inhein koi sarokar na tha . Ek musheer Abu Bakar (لعنة الله عليه) ne Umar (لعنة الله عليه) se kaha ke , ab tamaam log tumhari bayyat karchukey hein siwaye us shaqs Ali (عليه الصلاة والسلام) ke aur unke ghar walo'n ke . Lehaza unke paas kisi ko bhejo aur unhein bhi bulao .
Umar (لعنة الله عليه) ne unke paas Qanfuz naami ek shaqs ko bheja aur kaha , " Aye Qanfuz ! Tum Ali (عليه الصلاة والسلام) ke paas jaao aur kaho ke , chalo tumhein khalifa e Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) talab karte hein . Qanfuz Moula Ali (عليه الصلاة والسلام) ko bulane ke liye kaee baar aaya magar Moula jaane se inkar karte rahe . Moula ke inkar par us musheer Abu Bakar (لعنة الله عليه) ko ghussa aaya aur usne Khalid bin Waleed (لعنة الله عليه) aur Qanfuz (لعنة الله عليه) ko hukm diya ke tum log lakdia'n aur aag lekar mere saath chalo . Chunachey ye sab log aag aur lakdia'n liye huye Moula Ali (عليه الصلاة والسلام) aur Shahzadi Fatima (سلام الله عليها) ke ghar ke darwaze par pohnchey . Us waqt Shahzadi Fatima Zahra (سلام الله عليها) apne darwaze ke peechey baithi hui thi . Aap (سلام الله عليها) ke sar par patti bandhi hui thi aur Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) ki wafat ke ghum mein bilkul lagher o kamzor ho rahi thi .
Wo musheer Abu Bakar (لعنة الله عليه) aagey badha aur usne darwaza khatkhataya aur awaaz di , " Aye Ali ! Darwaza kholo ". Shahzadi Fatima (سلام الله عليها) ne kaha , " Aye Abu Bakar (لعنة الله عليه) ! Humein isee haal mein chorde , isliye ke humein to Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) ka ghum hi bohat kaafi hai ".
Us mal'oon ne kaha darwaza khol do , warna mai tumhare ghar mein aag lagaye deta hun ".
Shahzadi (سلام الله عليها) ne farmaya : " Kya tum Khuda se nahi darte aur mere ghar mein zabardasti daqil hona chahtey ho " ?
Ispar us mal'oon ne aag aur lakdian lekar darwaze ko jaladiya aur dhakka dekar khol liya .
Shahzadi Fatima (سلام الله عليها) samne thi , unho'n ne faryaad ki : " Aye Baba ! Ya Rasool Allah (صلى الله عليه وآله وسلم) !
Ye sunkar us mal'oon ne apni talwar ma' niyaam ke Shahzadi (سلام الله عليها) ke pehlu par maari . Shahzadi (سلام الله عليها) ne ek cheeq maari . Phir us Waladul Haram ne Shahzadi ke haath par zarb lagaee . ( ALLAHO AKBER ! ) Mazlooma (سلام الله عليها) phir cheeqne lagi : " Aye Babaaa " !!! Cheeqo'n ki awaaz sunkar Moula Ali (عليه الصلاة والسلام) fauran daude aur Abu Bakar Waladul Haram ka garayban pakadkar zor se jhatka diya , jiski taab na laaker wo zameen par girgaya . Moula ne uski naak aur gardan par zarbei'n lagaee aur uske qalt ka irada kiya , ke Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) ki wasiat yaad aaee ke Aa'n Hazrat (صلى الله عليه وآله وسلم) ne is mauqe par sabr karne ki takeed farmaee thi .
Moula ne farmaya , " Aye ( mal'oon ) ! Mai iski khasam khaker kehta hun , jisne Hazrat Mohammad (صلى الله عليه وآله وسلم) ko Nabi banaker izzat baqshi , agar Allah ne mujhsey pehle hi ahad na liya hota , to tum log mere ghar mein daqil hi nahi hosaktey they ".
Itne mein us mal'oon harami ne apne dosre sathion ki madad se Moula Ali (عليه الصلاة والسلام) ke galey mein rassi daaldi aur unhein kheenchkar baher legaye . Ye dekhkar Shahzadi Fatima Zahra (سلام الله عليها) ne mudaqilat ki , lekin Qanfuz (لعنة الله عليه) ne Aap (سلام الله عليها) ko aisa taziyaana maara jiska nishaan marte dam tak baaqi raha . Jab Shahzadi (سلام الله عليها) ne darwaze ke peechey panah li , to isne darwaza zor se Aap (سلام الله عليها) ke upar dabadiya jissey Aap (سلام الله عليها) ki pasli toot gaee aur jo bachcha Aap (سلام الله عليها) ke shikam mein tha , wo shaheed hogaya . ( HAAY MAZLOOMA (سلام الله عليها)
. Iskey baad , Aap (سلام الله عليها) musalsil beemar rahi , yahan tak ke Aap (سلام الله عليها) ne isee alam mein wafaat ( shahadat ) paee .
Laan Allah Ho Qateleen e Fathima Zehera (سلام الله عليها)
لعن الله عمر ثم ابوبکر وعم
ثم عثمان وعمر ثم عمر ثم عمر
↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟
Reference:
Bihar-ul-Anwaar 3 . Pg.No. 206 - 207.
↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وآلِ مُحَمَّدٍ وعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَاﻟْﻌَﻦ أَﻋْﺪَاﺋَﻬُﻢْ ْ اَﺟْﻤَﻌِﻴن
↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟↟