BIBI ZAHRA (S.A.) KI QABR KHODNE KI KOSHISH AUR MAULA ALI (A.S.) KA UMAR IBNE KHATTAB (L.A.) PAR GHAZABNAAK HONA
Maula Ali (a.s.) ne tadfeen e Bibi Fatima Zahra (s.a.) ke baad aapki qabr ko chhipane ke liye chalees qabren 'Baqi' me bana din.Musalmano ko jab aapki rehlat ka pata chala to Baqi ke qabristan me aaye (Taki Fateha padhe) magar wahan pahonche to unhone chalees nayi qabre bani hui dekhi to un qabro me Janab e Fatima (s.a.) ki qabr ka taaiyun na kar sake to bahot pareshan hue aur ek dusre ko malamat karne lage ke intehaai afsosnaak baat hai ke Janab e Rasool e Khuda (s.a.w.w.) 'EK' hi to beti chhod gaye the wo bechari inteqaal kar gayi aur dafn bhi ho gayi magar tumlog na uski wafaat ke waqt pahonche aur na uski namaz e janaza padhi , ab tumhe ye maloom nahi ke uski qabr kis jaa aur kaunsi hai ?!
Jab sahibaan e iqtidaar (Abu Bakr o Umar) ko khabar mil to unhone hukm diya , ye tamam qabre khod kar asl qabr ka pata lagaya jaye take unki namaz e janaza padhi ja sake.
Jab iski ittela Maula Ali (a.s.) ko hui ke in logon ke ye azaem hai to aap ghar se is aalam me baramad hue ke ghusse se aankhe surkh ho rahi thi , gale ki rage phooli hui thi aur aap apni mashhoor 'zard' qaba pehne hue the (jo aap shadeed masaeb ke waqt pehna karte the) aur 'zulfiqaar' ko tekte hue 'jannatul baqi' me pahonche.
Kisi ne un logo (Abu Bakr o Umar) ko jaa kar khabar pahoncha di ke Ali (a.s.) ghusse me bhare hue aa rahe hai aur unhone qasam khayi hai ke agar in qabro me se kisi ek qabr ki koi ek eet bhi hatayi gayi to khoon ki nadiya baha dunga!
Itne me Maula Ali (a.s.) se Umar ibnul Khattab (l.a.) ki mulaqaat ho gayi.Usne kaha "ay Abul Hasan (Ali a.s.) ! Tum humara kya kar sakte ho , Khuda ki qasam ! Hum Fatima (s.a.) ki qabr khod kar unki mayyet par namaz padhege"!
Ye sunte hi Maula Ali (a.s.) ne aage badh kar uska 'gareeban' pakad liya aur use utha kar zameen par de 'maara' aur farmaya :
"Ay jashn ke bachche (Umar) maene apna haq isliye chhod diya ke log deen e islam se murtid na ho jaye lekin qabr e Fatima (s.a.) ki taraf tune ya tere sathiyo ne aankh bhi utha kar dekha to mai tum logo ke khoon se is zameen ko seench dunga.Ab agar ye chaho to aage qadam badha kar dekho"!
Itne me Abu Bakr (l.a.) darmiyan me aa gaya aur kaha ay Abul Hasan (a.s.)! Tumhe Khuda (swt) aur uske Rasool (s.a.w.w.) ka waasta ise chhod do, humara wada hai ke hum ab koi aisi baat na karege jo tumhare ghusse ka sabab bane.Ye sun kar aapne Umar ibnul Khattab (l.a.) ko chhod diya aur sab log wapas chale gaye.
Reference:
-Dalail Al Imamat Tabari;
-Behar Al Anwaar , jild - 3 , safha 205/206 (Urdu edition)