Hadith : 1
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ay logon, Gawah rahena ke Khudai paigam pahowchane me Maine koyi kotahi nahiki hai, Janlo ke ish safar me Jibrail Amin, Mere pas teen dafa ayeh, Mujhe hukm diyagaya hai ke sab ke samne uske paigam ko pahowchadon aur Apne
chachazaad Bhai Ali ibne Abi Talib (a.s) ko Apna Wasi-O-Khalifa muyain kardon.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P95
Hadith : 2
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Agah hojao ke Mere baad Ali ibne Talib (a.s) khalifa-o Imam hain,
Woh Mereliye aysehe hain jaise Haroon Moosa keliye the, Khuda aur Rasul ke baad wohitumhara
Moula-o-Wali hai.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P95
Hadith : 3
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Inhi mese kuck log bahot see baten Mere piche kahete hain, Main un me se har ek ka naam bata sakta hoon aur unki tafsil-o-kamil khusisiyet ka bhi zikr karsakta hoon, Lekin Mere liye yeh monasib-o-shayesta nahi hai, Main hamesha tumhari izzat-o-sharafat aur buzrigi-o-bulandi chaheta hoon.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P96
Hadith : 4
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Bas Janlo ke khuda ne Ali (a.s) ko tumhara Wali-O-Imam banaya hai, aur uski Etaat-O-Farmabardari tamam Ansar-O-MuhazirenTabain, Hazir-O-Gaeb, Arab-O-Ajjam, Kochak-O-buzrug aur Gulam-O-Azaad sab par farz, Wajib ki hai
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P96
Hadith : 5
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Khuda Apni rehmat-o-maghferat uske shamil haal karega, jo Ali (a.s) ki manzilat ki tasdiq kare aur Ali (a.s) etaat aur pairavi kare, Khuda ka azaab aur Uski lanat ush shakhs keliye makhsoos hai, Jo Ali ( عَلَيهِ الّسَلامُ ) ki mukhalfat-o-dushmani kare aur use Na-maan kar dil me Ali (a.s) se adaawat rakkhe.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P96
Hadith : 6
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Janlo pahli manzil me tumhara Wali Allah aur dusri manzil Main Uska Rasul aur Mere baad Ali (a.s) aur Unke baad Unhi ki Aulad-e-Paak Zurriyet-e-Tahera se tumhare Owliya hain.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P96
Hadith : 7
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Khuda wande Alam ne tamam uloom-o-mahrif Mujhe atta farmaye hain aur Maine woh sabkuck Ali (a.s) ko talim kardiya hai, Osse hargiz dur NA-HONA, Uski wilayat-o-dosti se dasbardar NA-HONA..
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P96
Hadith : 8
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ay logon! Ali (a.s) Woh pahla sakhs hai, Jo khuda ki kadir uske Rasul (s.a.w.a) par Emaan laya aur Apni jaan Paigambar-e-Khuda aur Rahe Haq ki khatir qurban ki, Woh Paigambar-e-Khuda ke saat ebadaat Parwardegar me masqool tha, Jab ke tum me se kisine bhi Islam-O-Emaan ko qabool nahi kiya Tha.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P97
Hadith : 9
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ay logon! Ali (a.s) ko mutaram-o buzrug shumar karo ke khuda ne Oshe fazilat-O-karamat atta ki hai, Uski janib mutawajeh raho ke Khuda ne Oshe, ush mansab keliye moyain kiya hai, Jo bhi Uski wilayat-O-manzilat ka munkir huwa. Khuda ki rehmat-O-magfarat ush par nazil na hogi, Agar tum ne Uski mukhalfat ki goya tum ne Azzab-e-Khuda aur dahaikti huvi AAG ko amada karliya hai.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P97
Hadith : 10
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ay logon! tamaam Ambiya-O-Mursaleen guzishta ne Meri Nabowat-O-Resalat ki khaber di hai, Main tamaam ahle Aasman-o-Zamin par Khuda ki Hujjat hoon, Agar kisi ne bhi Meri Resalat aur Mere baat me shak kiya to woh kafir hogaya aur dozakh ka mustahiq bangaya.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P97
Hadith : 11
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Koyi shakhs bhi Quran ke hakayek-O-Bariki ki bayan-O-roshan nahi kar sakta sewaye ish Ali (a.s) ke, Jo Mera Bhai aur Wasi hai, Main saaf saaf kaheta hoon ke Jo bhi Mujhe apna Moula Maanta hai, Ali (a.s) bhi uske Moula hain.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P98
Hadith : 12
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Agah hojao: Ali (a.s) aur unki Aulad-e-Paak zamin par Khuda ke Ameen aur Saheban-e-Hikmat hain, Ay logon tum gawah raho aur ay Zamin-o-Aasman tum bhi gawah rahena ke Main ne Khuda ke hukm-o-farman ko paucha diya.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P98
Hadith : 13
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Sewaye Ali ibne Abi Talib (a.s) ke koyi bhi mansab-e-Khilafat-o-Imarat ke layek nahi hai, Mere baad kisi ko bhi haq nahi ke woh Ali (a.s) ke ellawa dusre logon ko laqeb Amirul Mominin se khetab kare.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P98
Hadith : 14
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Khuda ne apni sharriyat Ali (a.s) ki imamat ke zariye mukammal ki hai, Agar koyi Uski aur Uski zuriyat ki pairavi NA kare, Yaqinan woh qasare me rahega.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P99
Hadith : 15
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ay logon! yeh Ali (a.s) hai, yeh jo Mera Bhai, Mera khalifa aur Mera Wasi hai, Ameeral Momineen aur Musalmano ka Imam-O-Peshwa hai, Parwardegar to usse dost rakh, Jo Ali (a.s) ko dost rakkhe, Usse dushman rakh, Jo Ali (a.s) ko dushman rakkhe..
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P99
Hadith : 16
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ay logon! Khuda ne Apni sharriyat Ali (a.s) ki Imamat ke zarriye mokammal ki hai, Agar koyi Uski aur Uski zurriyat ki pairavi na kare, Yaqinan woh khasarah me rahega....
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P99
Hadith : 17
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ay logon! Mere baad tumhare peshwa ayse log banjayenge Jo tum ko jahannam ki taraf bulayenge, Qayammat ke din aur azaab-o-mushkilat ke waqt nusrat nahi kar sakte. Main unse bezari-o-duri karta hoon aur khuda bhi bezaar hai. Woh log apne doston aur pairukaron ke saat dozakh ke sabse niche tabqeh me honge.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P99
Hadith : 18
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ay logon! Main ne Imamat-O-Khilafat, Qeyamat tak keliye apni zuriyet me rakkhi haiJo kahnewali baat thi Main ne kahedi, Tum Meri batein aur wasiyatein dusron tak pahowchao, hazrrin-O-Gayebin ko aur har baap apne beton ko mera paigam pahowcha de.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P99/100
Hadith : 19
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ay logon hushiyar rahena ki Meri ummat ke kuck munafeqin mansab-e-Imamat ko zulm-o-zaor se qaseb karlenge aur usse hukumat-o-badshahat banalenge, Agah hojao qasebin par Allah ki lannat hai.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P100
Hadith : 20
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Aye giroh, Jin-o-Ens, Main bahot jald tumhare amaal ke hisab-o-kitab ki khatirpahowch jaonga ka, Us waqt Aag ke jalte huwe shole aur dahekte huwe Angaretumhare opper dalejayegen aur madad bhi nahi ki jaigi.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P100
Hadith : 21
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Aye logon! Khuda ne tum ko azaad nahi choda hai ke jaise chaho raho aur jo chahokaro, Balke tum me se har ek ko manzil-e-imtehaan se guzarah jayega ta-ke paakDil-O-Saleh afraad ko badkaron se juda kardiya jaiye.

Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P 100
Hadith : 22
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Aye logon, Ali ibne Abi Talib (a.s) tum logon ke Wali-O-Imam hain, Khuda neaysa hi taye kiya hai aur aysa hi waada kiya hai, Yaqinan Woh apne Wade-o-Ahedpar amal karega. Janlo pahle ke bahot se Ashkhas Ambiya-O-Mursaleen ki mukalfatke sabab halaak hoye.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P 100
Hadith : 23
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Aye logon! Khuda ke bheje huwe tamaam awamir-o-nawahi-o-ahkam, Main ne Aliibne Abi Talib (as.) ko sika diya hai, Bas tum ahkam-e-Elahi aur apne wazaif-e-dini ko Unhi se hasil karo, Unhi ki etta’at-o-pairavi karo, Unki raftaar-o-guftaar kekhelaaf hargiz na chalo, Ta-ke tum hidayat yafta raho.
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P 100
Hadith : 24
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P
Hadith : 25
Hazrat Rasul Allah (s.a.w.a) Ne Farmaya :
Ref: Ehtejaj-e-Tabrisi, Vol.1, P
No comments:
Post a Comment